Ticker

6/recent/ticker-posts

English Bolna Kaise Sikhe - How To Learn To Speak English


English Bolna Kaise Sikhe - How To Learn To Speak English
English Bolna Kaise Sikhe : Ye Blog aur kisi bhi Blog se bilkul hi alag hai is blog ko padne se aap ki english bolna ab mushkil nahi hai

Angreji bolne ke liye aap ko aap ka naam kya hai, aap kaha ke nivasi hai, aap ki shiksha, umar, aap ka weigh, aap ki lambai isko koi sambandh nahi hai.. kyoki ab sirf aap ek baat gath bandh lo ki aap ab english bolenge or english hi bolenge

Ye post isliye hi likha gaya hai taki aap english bole, english bolna kitna aasan hai ye to dhire dhire jese aap hamari post padhoge uske madhyam se ye safal to hoga hi aur aap ek baat soch lijiye ki ab english bolne se aap ko koi nahi rok sakta aap avashya hi angreji bolenge likhenge or sikhenge

To ab chalne me der nahi karna chahiye english sikhna kitna aasan hai yeh thode hi der me aap ko pata chal jayega magar usse pehle ek baat janana jaroori hai.
Vah yah he ki aap ko abhi tak kitni english aati hai? To chaliye pehle jaan lete he.

English Bolna Kaise Sikhe
English Bolna Kaise Sikhe

AAP KITNE ENGLISH JANTE HAI ?

aapko abhi tak english aati hai ye mahatvpurn nahi hai, lekin english sikhna shuru karne se pahle ye janana mahatvpurn he aap ka english ka abhi tak ka ghyan (knowledge) kitna hai taki aap is blog me English kaise sikhe padhoge jese jese hm aage jayenge aap ko apni Pragati kitna ho rha he ye asani se samaj aa jayega

Iske liye ab aap ko ek chota sa exam dena hoga 10 prashnon ka ye bahut hi saral or aasan sa exam hai prashn aaram se hal kare or koi galti ho tb bhi koi problem nahi koi frk nahi padhta to chaliye niche diye gaye prashnon ka uttar dijiye or comments box me apna answer bataye.

● English Pariksha

● Niche diye gaye shbdo ki spelling likhiye -

(1) kyon ( pankti )............
(2) woolen (un)..............
(3) gramer ( vyakaran ).........
(4) Buke ...........
(5) Despair.....


● Niche diye gaye Vakya ko english me likhe


(6) aap ka janm kab hua ?
(7) yah kaisa karna chahiye tha ?
(8) aapki madad ke bina yah nahi kiya ja skta tha ?
(9) aapki madad ke bina me ye nahi likh sakta ?
(10) aap kya karte he ?

In sbhi prashnon ka uttar aap comment box me dijiye me aap ke answer ko jach ke aap ko comment kr ke bata dunga.

Ummid karta hu aap sabhi ko ye questions ke answer jyada tar aate hi honge lekin yadi aap me se koi aisa he jise ek bhi question ka answer nahi aaya to chinta na karen. Kyon maths ki shuruaat bhi zero se hi hui
Iske aage ka ham ab padhenge agli post me tb tk ke liye aap in question ka answer de aur aap ko koi aur question puchna hai to aap puch skte he me aap ke question ka answer zaroor dunga tb tak liye aap is blog ko follow kr le taki aap ko turant hi hamari har ek post mil jaye jisse aap aasani se english bol sake DHANYAWAD 🙏

Post a Comment

2 Comments

  1. आपने बहुत ही अच्छी जानकारी दी है, बहुत अच्छे तरीके से हर बात को समझाया है।

    आपकी हरेक बात आसानी से समझ में आ गई है।

    मेरा भी एक blog है, www.finoin.com जिसमे Share market and Mutual funds Investment की जानकारी प्रदान किया जाता है।
    धन्यवाद…

    ReplyDelete

Thankyou